Friday, January 06, 2006

Kalaam e Ghalib




1. ibn-e-mariyam huwa kare koee
mere dukh kee dawa kare koee

[ ibn = son/child, mariyam = virgin Mary ]

2. shar'a-o-aaeen par madaar sahee
'eise qaatil ka kya kare koee ?

[ shar'a = the Islamic divine code of life, aaeen = law/custom/mode,
madaar = orbit/circumference/a place of turning ]

3. chaal, jaise kaDee kamaaN ka teer
dil meiN 'eise ke jaa kare koee

[ jaa = space ]

4. baat par waaN zubaan kaT_tee hai
woh kahaiN aur suna kare koee

5. bak rahaa hooN junooN meiN kya kya kuchch
kuchch na samjhe KHuda kare koee

[ junooN = ecstasy ]

6. na suno gar bura kahe koee
na kaho gar bura kare koee

7. rok lo, gar GHalat chale koee
baKHsh do gar KHata kare koee

[ baKHsh = pardon, KHata = mistake/slip ]

8. kaun hai jo naheeN hai haajat_mand ?
kiskee haajat rawa kare koee

[ haajat_mand = person in need, haajat = need, rawa = fulfill ]

9. kya kiyaa KHijr ne sikandar se
ab kise rehnuma kare koee ?

10. jab tavaqqo hee uTh gayee 'GHalib'
kyoN kisee ka gila kare koee ?



1. uss bazm meiN mujhe naheeN bantee haya kiye
baiThaa raha agarche ishaare huwa kiye

2. dil hee to hai, siyaasat-e-darbaaN se Dar gaya
maiN, aur jaaooN dar se tere bin sada kiye ?

[ siyaasat = politics, darbaaN = doorkeeper/sentry, dar = door,
sada = sound, here it means conversation ]

3. rakhta firooN hooN KHirqa-o-sajjaada rahn meiN
muddat huee hai daavat-e-aab-o-hawa kiye

[ KHirqa = a patched garment, sajjaada = a prayer carpet,
rahn = mortgage, aab-o-hawa = climate ]

4. be_sarfa hee guzartee hai, ho garche umr-e-KHijr
hazarat bhee kal kahenge ki ham kya kiya kiye ?

[ be_sarfa = simple life, umr-e-KHijr = everlasting life ]

5. maqdoor ho to KHaak se poochchooN, ke 'ei laeem
toone woh ganj haay giraaN_maaya kya kiye ?

[ maqdoor = capable, KHaak = dust/earth, laeem = miserly,
ganj = treasure/wealth, giraaN_maaya = valuble/precious ]

6. kis roz tohamataiN na taraasha kiye 'adoo
kis din hamaare sar pe na aare chala kiye

[ tohamataiN = accusitions, 'adoo = enemy ]

7. sohbat meiN GHair kee na paDee ho kaheeN yeh KHoo
dene laga hai bose baGHair iltijaa kiye

[ sohbat = company, KHoo = habit, bose = kisses, iltijaa = request ]

8. zid kee hai aur baat magar KHoo buree naheeN
bhoole se usne saikDoN waade-wafa kiye

[ KHoo = habit ]

10. 'GHalib' tumheeN kaho ki milega jawaab kya ?
maana ki tum kaha kiye, aur woh suna kiye



hasad sazaa-e-kamaal-e-suKHan hai, kya keeje
sitam, bahaa-e-mata'a-e-hunar hai, kya kahiye ?

[ hasad = envy/malice, sitam = oppression, bahaa = value/price,
mata'a = valuables ]



yaarab ! wo na samjhe haiN na samjheNge meree baat
de aur dil unko, jo na de mujhko zubaaN aur


............................................................................


1. fir mujhe deeda-e-tar yaad aaya
dil jigar tashna-e-fariyaad aaya

[ deeda-e-tar = wet eyes, tashna (or tishna ) = thirsty ]

2. dam liya tha na qayaamat ne hanoz
fir tera waqt-e-safar yaad aaya

[ hanoz = yet/still ]

3. saadgee haay tamanna, yaanee
fir wo nai_rang-e-nazar yaad aaya

[ nai_rang = fascinating ]

4. uzr-e-waamaaNdagee 'ei hasarat-e-dil
naala karta tha jigar yaad aaya

[ uzr = excuse, waamaaNdagee = tiredness ]

5. zindgee yoN bhee guzar hi jaatee
kyoN tera raahguzar yaad aaya ?

6. kya hee rizwaaN se laDaayee hogee
ghar tera KHuld meiN gar yaad aaya

[ rizwaaN = doorkeeper of paradise, KHuld = heaven/paradise ]

7. aah woh jurat-e-fariyaad kahaaN
dil se tang aake jigar yaad aaya

[ jurat = courage/valour ]

8. fir tere kooche ko jaata hai KHayaal
dil-e-gumgashta magar yaad aaya

[ koocha = a narrow street/lane, gumgashta = missing ]

9. koee weeraanee-see-weeraanee hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aaya

[ dasht = desert ]

10. maiNne majnooN pe laDakpan meiN 'Asad'
sang uTHaaya tha ki sar yaad aaya

[ sang = stone ]





1. bus ki dushwaar hai har kaam ka aasaaN hona
aadmee ko bhee muyassar naheeN insaaN hona

[ dushwaar = difficult, muyassar = possible ]

2. giriya chaahe hai KHaraabee mere kaashaane ki
dar-o-deevaar se Tapke hai bayaabaaN hona

[ giriyaaN = weeping, kaashaana = house, bayaabaaN = wilderness ]

3. waa-e-deewaangee-e-shauq, ke har dam mujhko
aap jaana udhar aur aap hee hairaaN hona

4. jalva az_bas ki taqaaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aaina bhee chaahe hai mizhgaaN hona

[ az = from/then/by, jauhar = skill/knowledge, mizhgaaN = eyelid ]

5. ishrat-e-qatl_gah-e-'ehl-e-tamanna mat pooch
id-e-nazzaara hai shamsheer ka uriyaaN hona

[ ishrat = joy/delight, shamsheer = sword, uriyaaN = naked/bare ]

6. le gaye KHaak meiN ham daaGH-e-tamanna-e-nishaat
too ho aur aap ba_sad_rang-e-gulistaaN hona

[ nishaat (or nashaat) = enthusiasm/happiness, sad_rang = hundred
colours ]

7. ishrat-e-paara-e-dil, zaKHm-e-tamanna_KHaana
lazzat-e-reesh-e-jigar GHarq-e-namakdaaN hona

[ ishrat = joy/delight, paara = fragment/piece, lazzat = taste,
reesh = wound, GHarq = drown/sink, namakdaaN = container to
keep salt ]

8. kee mere qatl ke baad usne jafa se tauba
haay us zood_pashemaaN ka pashemaaN hona

[ jafa = oppression, zood = quickly, pashemaaN = ashamed/
embarrassed ]

9. haif us chaar girah kapDe ki qismat 'GHalib'
jis ki qismat meiN ho aashiq ka girebaaN hona

[ haif = alas!, girah = one sixteenth of a yard, girebaaN = collar ]